tere ruKH-e-sabih ne rang-e-sahar dikha diya
tere ruḳh-e-sabīh ne rang-e-sahar dikhā diyā
zulmat-e-shab meñ bhī mujhe jiine kā hausla diyā
sehr-e-nazar se aap ke husn-e-bayāñ milā diyā
maiñ ne urūs-e-sher ko kitnā hasīñ banā diyā
mere junūñ kī ḳhāk-e-pā surma-e-dīda-e-ḳhirad
mujh se na pūchh ham-nafas vaqt ko maiñ ne kyā diyā
jā ke dayār-e-fikr meñ chheḌ diyā junūñ kā saaz
soyā huā shu.ūr thā maiñ ne use jagā diyā
dil kī jabīn-e-shauq par paḌ ga.ī ik hasīñ shikan
maiñ ne ruḳh-e-hayāt se parda jo kal haTā diyā
rāh-e-vafā kī saḳhtiyāñ merī nazar meñ ab nahīñ
maiñ ne har ek gaam par ek chaman khilā diyā
tere gumāñ kī ḳhair ho ban na sakā ḳhudā ḳhudā
mere yaqīn-o-shauq ne but ko ḳhudā banā diyā
tere ruKH-e-sabih ne rang-e-sahar dikha diya
zulmat-e-shab mein bhi mujhe jine ka hausla diya
sehr-e-nazar se aap ke husn-e-bayan mila diya
main ne urus-e-sher ko kitna hasin bana diya
mere junun ki KHak-e-pa surma-e-dida-e-KHirad
mujh se na puchh ham-nafas waqt ko main ne kya diya
ja ke dayar-e-fikr mein chheD diya junun ka saz
soya hua shuur tha main ne use jaga diya
dil ki jabin-e-shauq par paD gai ek hasin shikan
main ne ruKH-e-hayat se parda jo kal haTa diya
rah-e-wafa ki saKHtiyan meri nazar mein ab nahin
main ne har ek gam par ek chaman khila diya
tere guman ki KHair ho ban na saka KHuda KHuda
mere yaqin-o-shauq ne but ko KHuda bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.