tere sae se pare rah ke jiya kaise karen
tere saa.e se pare rah ke jiyā kaise kareñ
fāsle tai bhī kareñ ham to batā kaise kareñ
rog is dil ko lagā hai tirī ḳhātir varna
tū nahīñ hai to batā dil kī davā kaise kareñ
do ghaḌī bhar ke liye bhī na rahā saath tirā
bin tire shahr meñ ham pās-e-vafā kaise kareñ
ranj-o-ġham kī vo ravānī na rahī dil meñ mire
dil dukhegā to batā dil se duā kaise kareñ
aap kī duniyā alag aur alag apnā jahāñ
rāste jab na hoñ manzil pe milā kaise kareñ
bevafā.ī kā chalan aam hai duniyā meñ 'kiran'
zindagī bhar ke liye zaḳhm sahā kaise kareñ
tere sae se pare rah ke jiya kaise karen
fasle tai bhi karen hum to bata kaise karen
rog is dil ko laga hai teri KHatir warna
tu nahin hai to bata dil ki dawa kaise karen
do ghaDi bhar ke liye bhi na raha sath tera
bin tere shahr mein hum pas-e-wafa kaise karen
ranj-o-gham ki wo rawani na rahi dil mein mere
dil dukhega to bata dil se dua kaise karen
aap ki duniya alag aur alag apna jahan
raste jab na hon manzil pe mila kaise karen
bewafai ka chalan aam hai duniya mein 'kiran'
zindagi bhar ke liye zaKHm saha kaise karen
- Book : Pehchaan (Pg. 97)
- Author : Kavita Kiran
- Publication : Shiyam Kumar (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.