tere sath chehre hain mere sang aaina
tere saath chehre haiñ mere sañg aa.ina
dekh aaj hotā hai kis pe tañg ā.īna
bol ḳhud-shanāsī phir kis tarah se mumkin ho
pesh kar rahā ho jab saat rañg ā.īna
ḳhud-parastiyoñ ne bhī ḳhuub raushnī baḳhshī
ban gayā añdheroñ meñ ek sañg ā.īna
laḳht-laḳht āvāzeñ fard fard pahchāneñ
shor shor ḳhāmoshī vaj.h-e-jañg ā.īna
tere shahr kā qissa mere shahr kī gāthā
saaf saaf dhuñdhlāhaT zañg zañg ā.īna
koī sā bhī paikar ho is ko Dar nahīñ lagtā
kyuuñ ki apnī fitrat se hai dabañg ā.īna
mushtahar huiiñ jab bhī ujlī ḳhvāhisheñ 'parvez'
kholtā nazar aayā añg añg ā.īna
tere sath chehre hain mere sang aaina
dekh aaj hota hai kis pe tang aaina
bol KHud-shanasi phir kis tarah se mumkin ho
pesh kar raha ho jab sat rang aaina
KHud-parastiyon ne bhi KHub raushni baKHshi
ban gaya andheron mein ek sang aaina
laKHt-laKHt aawazen fard fard pahchanen
shor shor KHamoshi wajh-e-jang aaina
tere shahr ka qissa mere shahr ki gatha
saf saf dhundhlahaT zang zang aaina
koi sa bhi paikar ho is ko Dar nahin lagta
kyun ki apni fitrat se hai dabang aaina
mushtahar huin jab bhi ujli KHwahishen 'parwez'
kholta nazar aaya ang ang aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.