tere sadqe bhala na-chiz ye ware kya kya
tere sadqe bhalā nā-chīz ye vaare kyā kyā
tū ne dhartī pe utāre haiñ sitāre kyā kyā
is sharāfat ko lage aag samajh hī na sake
varna milte rahe ham ko bhī ishāre kyā kyā
tujh se vābasta mohabbat ko qarār aane lagā
ham ne dekhe tirī qurbat meñ ḳhasāre kyā kyā
ek lamhe ko huā ḳhud pe haqīqat kā gumāñ
tū ne miTTī pe ḳhudā naqsh ubhāre kyā kyā
hijr par us ne mujhe raazī kiye rakkhā hai
aur ash.ār mire dil pe utāre kyā kyā
terī taskīn ko badnām huī huuñ mire zauq
chehre badle ka.ī aur ruup haiñ dhāre kyā kyā
tere sadqe bhala na-chiz ye ware kya kya
tu ne dharti pe utare hain sitare kya kya
is sharafat ko lage aag samajh hi na sake
warna milte rahe hum ko bhi ishaare kya kya
tujh se wabasta mohabbat ko qarar aane laga
hum ne dekhe teri qurbat mein KHasare kya kya
ek lamhe ko hua KHud pe haqiqat ka guman
tu ne miTTi pe KHuda naqsh ubhaare kya kya
hijr par us ne mujhe raazi kiye rakkha hai
aur ashaar mere dil pe utare kya kya
teri taskin ko badnam hui hun mere zauq
chehre badle kai aur rup hain dhaare kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.