tere siwa bhi dost mujhe kaam aur hai
tere sivā bhī dost mujhe kaam aur hai
duniyā meñ dil lagāne kā anjām aur hai
maiñ sochtā rahā huuñ mohabbat ke baab meñ
kahte haiñ is vabā kā yahāñ naam aur hai
har raat merī kaTtī hai is soch meñ ki ab
vo sub.h koī aur thī ye shaam aur hai
merī likhe pe tanz na farmā.iye janāb
merī ġhazal meñ lafz kā ib.hām aur hai
us ne kahā ki mai-kada-e-dil to band thā
pūchhā jo maiñ ne us se miyāñ jaam aur hai
us se nikal ke jā nahīñ saktā koī shikār
vo daam aur daam thā ye daam aur hai
maiñ mast huuñ magan huuñ tirī kā.enāt meñ
kyūñki ye kā.enāt mujhe ḳhaam aur hai
'asġhar' se pūchhte ho jo vahshat kā 'ishq meñ
vo sāf-sāf kahtā hai kohrām aur hai
tere siwa bhi dost mujhe kaam aur hai
duniya mein dil lagane ka anjam aur hai
main sochta raha hun mohabbat ke bab mein
kahte hain is waba ka yahan nam aur hai
har raat meri kaTti hai is soch mein ki ab
wo subh koi aur thi ye sham aur hai
meri likhe pe tanz na farmaiye janab
meri ghazal mein lafz ka ibham aur hai
us ne kaha ki mai-kada-e-dil to band tha
puchha jo main ne us se miyan jam aur hai
us se nikal ke ja nahin sakta koi shikar
wo dam aur dam tha ye dam aur hai
main mast hun magan hun teri kaenat mein
kyunki ye kaenat mujhe KHam aur hai
'asghar' se puchhte ho jo wahshat ka 'ishq mein
wo saf-saf kahta hai kohram aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.