tere siwa bhi koi mujhe yaad aane wala tha
tere sivā bhī koī mujhe yaad aane vaalā thā
maiñ varna yuuñ hijr se kab ghabrāne vaalā thā
jān-būjh kar samajh kar maiñ ne bhulā diyā
har vo qissa jo dil ko bahlāne vaalā thā
mujh ko nadāmat bas is par hai log bahut ḳhush haiñ
is lamhe ko kho kar jo pachhtāne vaalā thā
ye to ḳhair huī dariyā ne ruḳh tabdīl kiyā
merā shahr bhī us kī zad meñ aane vaalā thā
ik ik kar ke sab raste kitne sunsān hue
yaad aayā maiñ lambe safar par jaane vaalā thā
tere siwa bhi koi mujhe yaad aane wala tha
main warna yun hijr se kab ghabrane wala tha
jaan-bujh kar samajh kar main ne bhula diya
har wo qissa jo dil ko bahlane wala tha
mujh ko nadamat bas is par hai log bahut KHush hain
is lamhe ko kho kar jo pachhtane wala tha
ye to KHair hui dariya ne ruKH tabdil kiya
mera shahr bhi us ki zad mein aane wala tha
ek ek kar ke sab raste kitne sunsan hue
yaad aaya main lambe safar par jaane wala tha
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 323)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.