tere sivā nigāhoñ meñ ai yaar kaun hai
hairāñ huuñ maiñ ki tālib-e-dīdār kaun hai
har qatra ashk-e-shauq hai har zarra chashm-e-shauq
kyā pūchhte ho tālib-e-dīdār kaun hai
sab hasratoñ ko rāz-e-mohabbat banā chukā
ab sochtā huuñ lā.eq-e-iz.hār kaun hai
'nātiq' kisī ko de do dil-e-zār nazr meñ
is jins-e-be-bahā kā ḳharīdār kaun hai
tere siwa nigahon mein ai yar kaun hai
hairan hun main ki talib-e-didar kaun hai
har qatra ashk-e-shauq hai har zarra chashm-e-shauq
kya puchhte ho talib-e-didar kaun hai
sab hasraton ko raaz-e-mohabbat bana chuka
ab sochta hun laeq-e-izhaar kaun hai
'natiq' kisi ko de do dil-e-zar nazr mein
is jins-e-be-baha ka KHaridar kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.