tere suraj ko teri sham se pahchante hain
tere sūraj ko tirī shaam se pahchānte haiñ
zindagī ham tujhe anjām se pahchānte haiñ
kis qadar dhuup kamātā hai yahāñ koī ise
raunaq-e-mashġhala-e-shām se pahchānte haiñ
ishq vaale to uThāte hī nahīñ apnī nigāh
husn ko husn ke ahkām se pahchānte haiñ
ḳhaas andāz se ḳhat likhtā hai vo parda-nashīñ
ham use nudrat-e-paiġhām se pahchānte haiñ
kaun kartā hai pas-e-parda-e-ā.īna kalām
aks ko hairat-e-ilhām se pahchānte haiñ
saḳht taklīf uThā.ī hai use jānñe meñ
is liye ab use ārām se pahchānte haiñ
sach phaTe haal sā phirtā hai galī-kūchoñ meñ
sach ko aksar isī anjām se pahchānte haiñ
maiñ ne tardīd to bhejī thī pa shaa.e na huī
ahl-e-shahr ab mujhe ilzām se pahchānte haiñ
kaise naqqād haiñ ye itnī baḌī shā.irī ko
bas ri.āyāt se īhām se pahchānte haiñ
'farhat-ehsās' kabhī ghar se nikaltā hī nahīñ
shahr vaale use bas naam se pahchānte haiñ
tere suraj ko teri sham se pahchante hain
zindagi hum tujhe anjam se pahchante hain
kis qadar dhup kamata hai yahan koi ise
raunaq-e-mashghala-e-sham se pahchante hain
ishq wale to uThate hi nahin apni nigah
husn ko husn ke ahkaam se pahchante hain
KHas andaz se KHat likhta hai wo parda-nashin
hum use nudrat-e-paigham se pahchante hain
kaun karta hai pas-e-parda-e-aina kalam
aks ko hairat-e-ilham se pahchante hain
saKHt taklif uThai hai use jaanne mein
is liye ab use aaram se pahchante hain
sach phaTe haal sa phirta hai gali-kuchon mein
sach ko aksar isi anjam se pahchante hain
main ne tardid to bheji thi pa shae na hui
ahl-e-shahr ab mujhe ilzam se pahchante hain
kaise naqqad hain ye itni baDi shairi ko
bas riayat se iham se pahchante hain
'farhat-ehsas' kabhi ghar se nikalta hi nahin
shahr wale use bas nam se pahchante hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 111)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.