tere ushshaq ne har moD pe Thukrai hai
tere ushshāq ne har moḌ pe Thukrā.ī hai
aql vo bhiik hai jo duniyā uThā laa.ī hai
phuuT jaa.eñ mirī āñkheñ yahī din dekhne the
terī tasvīr kisī ġhair ne dikhlā.ī hai
kitnī mil jaa.e kise kuchh bhī nahīñ kah sakte
hasb-e-taufīq tire ishq meñ rusvā.ī hai
aisī hālat to sar-e-hashr nazar aanī thī
jo tire sāya-e-dīvār nazar aa.ī hai
ham se bhī pher nazar ham ko bhī rusvā farmā
ham ne nuqsān uThāne kī qasam khaa.ī hai
ab tire ḳhvāb falak se bhī utar aa.eñ to kyā
aas kī chhat se mirī niiñd utar aa.ī hai
ibn-e-'jāved' ne bas ġham nahīñ paayā hai tirā
ibn-e-'jāved' ne hisse kī ḳhushī paa.ī hai
tere ushshaq ne har moD pe Thukrai hai
aql wo bhik hai jo duniya uTha lai hai
phuT jaen meri aankhen yahi din dekhne the
teri taswir kisi ghair ne dikhlai hai
kitni mil jae kise kuchh bhi nahin kah sakte
hasb-e-taufiq tere ishq mein ruswai hai
aisi haalat to sar-e-hashr nazar aani thi
jo tere saya-e-diwar nazar aai hai
hum se bhi pher nazar hum ko bhi ruswa farma
hum ne nuqsan uThane ki qasam khai hai
ab tere KHwab falak se bhi utar aaen to kya
aas ki chhat se meri nind utar aai hai
ibn-e-'jawed' ne bas gham nahin paya hai tera
ibn-e-'jawed' ne hisse ki KHushi pai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.