tere zaKHmon ki ayaadat nahin karne wale
tere zaḳhmoñ kī ayādat nahīñ karne vaale
ab dikhāve kī mohabbat nahīñ karne vaale
tū ne ye husn jinheñ sauñp diyā hai vo log
terī āñkhoñ kī hifāzat nahīñ karne vaale
ham ko tadbīr se in mushkiloñ meñ Daalā gayā
jab bhī Thānī ki ibādat nahīñ karne vaale
haañ vahī log bane phirte haiñ ab shāh-e-suḳhan
vo jo kahte the mohabbat nahīñ karne vaale
TuuTī dīvār se apnoñ ko mahak aatī hai
is liye ghar kī marammat nahīñ karne vaale
tere zaKHmon ki ayaadat nahin karne wale
ab dikhawe ki mohabbat nahin karne wale
tu ne ye husn jinhen saunp diya hai wo log
teri aankhon ki hifazat nahin karne wale
hum ko tadbir se in mushkilon mein Dala gaya
jab bhi Thani ki ibaadat nahin karne wale
han wahi log bane phirte hain ab shah-e-suKHan
wo jo kahte the mohabbat nahin karne wale
TuTi diwar se apnon ko mahak aati hai
is liye ghar ki marammat nahin karne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.