teri aaghosh mein niDhaal hun main
terī āġhosh meñ niDhāl huuñ maiñ
bhīgtī raat kā zavāl huuñ maiñ
jitnā suljhāoge aur uljhoge
vaqt kā ik baḌā savāl huuñ maiñ
aur pichhle-pahar gale mil le
Dūbtī raat kā kamāl huuñ maiñ
apne andar simaTtā jaatā huuñ
ḳhushk dariyā kā ek jaal huuñ maiñ
fāsle qarnoñ ke judā.ī meñ
terā maazī huuñ apnā haal huuñ maiñ
kyā samajh ke hañsā hai tū mujh par
tere hī aa.ine kā baal huuñ maiñ
ye 'musavvir' bhañvar meñ aa ke khulā
Dūbne meñ bhī be-misāl huuñ maiñ
teri aaghosh mein niDhaal hun main
bhigti raat ka zawal hun main
jitna suljhaoge aur uljhoge
waqt ka ek baDa sawal hun main
aur pichhle-pahar gale mil le
Dubti raat ka kamal hun main
apne andar simaTta jata hun
KHushk dariya ka ek jal hun main
fasle qarnon ke judai mein
tera mazi hun apna haal hun main
kya samajh ke hansa hai tu mujh par
tere hi aaine ka baal hun main
ye 'musawwir' bhanwar mein aa ke khula
Dubne mein bhi be-misal hun main
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 79)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.