teri aankhon ki kaifiyyat ko maiKHane se kya nisbat

teri aankhon ki kaifiyyat ko maiKHane se kya nisbat
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
terī āñkhoñ kī kaifiyyat ko maiḳhāne se kyā nisbat
nigah kī gardishoñ ko daur paimāne se kyā nisbat
ye jiive hijr meñ vo vasl meñ bhī jī nahīñ saktā
takalluf-bar-taraf bulbul ko parvāne se kyā nisbat
ye vo motī haiñ jin kī sīpiyāñ āñkheñ haiñ āshiq kī
mire aañsū ko marvārīd ke daane se kyā nisbat
are dil mat tavaqqo.a dilbaroñ se rakh tarahhum kī
lahū piite haiñ jo shaḳhs un ko ġham khāne se kyā nisbat
gul us kā daaġh hai aur sarv us kā āh-e-mauzūñ hai
'yaqīñ' se nauhagar ko baaġh meñ jaane se kyā nisbat
teri aankhon ki kaifiyyat ko maiKHane se kya nisbat
nigah ki gardishon ko daur paimane se kya nisbat
ye jiwe hijr mein wo wasl mein bhi ji nahin sakta
takalluf-bar-taraf bulbul ko parwane se kya nisbat
ye wo moti hain jin ki sipiyan aankhen hain aashiq ki
mere aansu ko marwarid ke dane se kya nisbat
are dil mat tawaqqoa dilbaron se rakh tarahhum ki
lahu pite hain jo shaKHs un ko gham khane se kya nisbat
gul us ka dagh hai aur sarw us ka aah-e-mauzun hai
'yaqin' se nauhagar ko bagh mein jaane se kya nisbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.