teri aankhon pe ghane KHwabon ka pahra hun main
terī āñkhoñ pe ghane ḳhvāboñ kā pahra huuñ maiñ
is ta.alluq se hī kis darja sunahrā huuñ maiñ
log kyuuñ ghuur ke sachchā.ī mujhe dekhte haiñ
aisā lagtā hai ki jaise tirā chehra huuñ maiñ
ḳhud ko kho doge mirī tah talak aate aate
lafz huuñ lafz samundar se bhī gahrā huuñ maiñ
tū udhar ḳhat mirā paḌhtī hai to lagtā hai mujhe
terī āñkhoñ ke hasīñ shahr meñ Thahrā huuñ maiñ
ek patthar huuñ agar tujh se kahīñ duur huuñ
tujh se chhū jā.ūñ to sad-ḳhushbū kā lahrā huuñ maiñ
teri aankhon pe ghane KHwabon ka pahra hun main
is talluq se hi kis darja sunahra hun main
log kyun ghur ke sachchai mujhe dekhte hain
aisa lagta hai ki jaise tera chehra hun main
KHud ko kho doge meri tah talak aate aate
lafz hun lafz samundar se bhi gahra hun main
tu udhar KHat mera paDhti hai to lagta hai mujhe
teri aankhon ke hasin shahr mein Thahra hun main
ek patthar hun agar tujh se kahin dur hun
tujh se chhu jaun to sad-KHushbu ka lahra hun main
- Book : Hukm Nama (Pg. 24)
- Author : Sultan Subhani
- Publication : Sardar Art Press Malegaon (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.