terī āñkhoñ se dostī huī hai
tab kahīñ jā ke raushnī huī hai
ab tujhe uzr kyā hai aane meñ
dekh barsāt bhī thamī huī hai
ye ḳhasāra to maiñ uThā chukī huuñ
ye mohabbat to maiñ ne kī huī hai
sirf ye shaam hī nahīñ hai sard
barf bātoñ meñ bhī jamī huī hai
tum se itnā bhī kah nahīñ paa.ī
tum se mil kar mujhe ḳhushī huī hai
itne barham ho kis liye āḳhir
kyā mohabbat meñ kuchh kamī huī hai
teri aankhon se dosti hui hai
tab kahin ja ke raushni hui hai
ab tujhe uzr kya hai aane mein
dekh barsat bhi thami hui hai
ye KHasara to main uTha chuki hun
ye mohabbat to main ne ki hui hai
sirf ye sham hi nahin hai sard
barf baaton mein bhi jami hui hai
tum se itna bhi kah nahin pai
tum se mil kar mujhe KHushi hui hai
itne barham ho kis liye aaKHir
kya mohabbat mein kuchh kami hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.