teri aankhon se mahakte hue kuchh KHwab chunun
terī āñkhoñ se mahakte hue kuchh ḳhvāb chunūñ
shāḳh-e-mizhgāñ pe khile anjum-o-mahtāb chunūñ
pichhle yāroñ ne bahut ranj diye the mujh ko
ab bahut soch samajh kar na.e ahbāb chunūñ
chāñd ke māthe pe silvaT nahīñ achchhī lagtī
koī tālāb chunūñ be-shikan-e-āb chunūñ
is chunāv meñ mirī jiit bahut mushkil hai
itne lafzoñ meñ ghirā harf-e-ġhazal-yāb chunūñ
mutriba ab vo mirā 'ishq ho yā merī anā
sāz-e-vahshat ke liye āḳhirī mizrāb chunūñ
aisī P.R kamānā mujhe aatā hī nahīñ
saste logoñ ke liye qīmtī alqāb chunūñ
jis ghaḌī saa’d sitāroñ kā milan ho 'yāvar'
vasl-e-jānāñ ko vahī sā’at-e-nāyāb chunūñ
teri aankhon se mahakte hue kuchh KHwab chunun
shaKH-e-mizhgan pe khile anjum-o-mahtab chunun
pichhle yaron ne bahut ranj diye the mujh ko
ab bahut soch samajh kar nae ahbab chunun
chand ke mathe pe silwaT nahin achchhi lagti
koi talab chunun be-shikan-e-ab chunun
is chunaw mein meri jit bahut mushkil hai
itne lafzon mein ghira harf-e-ghazal-yab chunun
mutriba ab wo mera 'ishq ho ya meri ana
saz-e-wahshat ke liye aaKHiri mizrab chunun
aisi PR kamana mujhe aata hi nahin
saste logon ke liye qimti alqab chunun
jis ghaDi sa’d sitaron ka milan ho 'yawar'
wasl-e-jaanan ko wahi sa’at-e-nayab chunun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.