teri anjuman mein aae tere pyar tak na pahunche
teri anjuman mein aae tere pyar tak na pahunche
Mukhtar Ashiqi Jaunpuri
MORE BYMukhtar Ashiqi Jaunpuri
terī anjuman meñ aa.e tire pyaar tak na pahuñche
use kyā kahūñ chaman meñ jo bahār tak na pahuñche
jise aa gayā hai jiinā use mil gayā gulistāñ
vo bahār gul ko tarse ki jo ḳhaar tak na pahuñche
ai muġhannī-e-zamāna tire naġhme ḳhuub lekin
kabhī azmat-e-sadā-e-lab-e-yār tak na pahuñche
vo na pā sake jahāñ meñ kabhī zindagī kā hāsil
jo dayār-e-rañg-o-bū meñ ġham-e-yār tak na pahuñche
koī chal basā jahāñ se yahī kahte kahte āḳhir
tumheñ pās-e-husn itnā ki pukār tak na pahuñche
mujhe har alam gavārā rah-e-ishq meñ hai lekin
kabhī ġham kī dhuup yā-rab mere yaar tak na pahuñche
ye ajiib munsifī hai ye ajiib hai zamāna
jo ḳhatā kare jahāñ meñ vahī daar tak na pahuñche
mire pyaar kī hadoñ meñ hai tamām shai chaman kī
vo lahū bhī kyā lahū hai jo ki ḳhaar tak na pahuñche
teri anjuman mein aae tere pyar tak na pahunche
use kya kahun chaman mein jo bahaar tak na pahunche
jise aa gaya hai jina use mil gaya gulistan
wo bahaar gul ko tarse ki jo KHar tak na pahunche
ai mughanni-e-zamana tere naghme KHub lekin
kabhi azmat-e-sada-e-lab-e-yar tak na pahunche
wo na pa sake jahan mein kabhi zindagi ka hasil
jo dayar-e-rang-o-bu mein gham-e-yar tak na pahunche
koi chal basa jahan se yahi kahte kahte aaKHir
tumhein pas-e-husn itna ki pukar tak na pahunche
mujhe har alam gawara rah-e-ishq mein hai lekin
kabhi gham ki dhup ya-rab mere yar tak na pahunche
ye ajib munsifi hai ye ajib hai zamana
jo KHata kare jahan mein wahi dar tak na pahunche
mere pyar ki hadon mein hai tamam shai chaman ki
wo lahu bhi kya lahu hai jo ki KHar tak na pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.