Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri be-ruKHi meri maut thi hua iltifat kabhi kabhi

Qaisar Haideri Dehlvi

teri be-ruKHi meri maut thi hua iltifat kabhi kabhi

Qaisar Haideri Dehlvi

MORE BYQaisar Haideri Dehlvi

    terī be-ruḳhī mirī maut thī huā iltifāt kabhī kabhī

    tire iltifāt ḳhair ho ki milī hayāt kabhī kabhī

    rah-e-ārzū meñ kahīñ kahīñ mujhe rok dete haiñ hādse

    ġham-e-ishq hai mirā mustaqil ġham-e-kā.enāt kabhī kabhī

    mirī jumbish-e-lab-e-ġham-zada jo tire mizāj pe baar hai

    mire āñso.oñ zabāñ se sun ġham-e-dil baat kabhī kabhī

    nahīñ ek haal meñ kuchh maza karo chāshnī bhī mujhe atā

    mirī zindagī ke sukūt meñ na.ī vārdāt kabhī kabhī

    vo jahāñ kahīñ nazar aa ga.e baḌā ittifāq hasīñ rahā

    mujhe tīrgī thī nasīb meñ milī chāñd raat kabhī kabhī

    maiñ zamīñ-navard thā ishq meñ magar aise moḌ bhī aa ga.e

    mah-o-mehr tak mujhe le gayā safar-e-hayāt kabhī kabhī

    tirā 'qaisar' amn-o-sukūñ meñ bhī na bachā fareb-e-jamāl se

    tirī ik nigāh se khul gayā dar-e-hādsāt kabhī kabhī

    teri be-ruKHi meri maut thi hua iltifat kabhi kabhi

    tere iltifat ki KHair ho ki mili hayat kabhi kabhi

    rah-e-arzu mein kahin kahin mujhe rok dete hain hadse

    gham-e-ishq hai mera mustaqil gham-e-kaenat kabhi kabhi

    meri jumbish-e-lab-e-gham-zada jo tere mizaj pe bar hai

    mere aansoon ki zaban se sun gham-e-dil ki baat kabhi kabhi

    nahin ek haal mein kuchh maza karo chashni bhi mujhe ata

    meri zindagi ke sukut mein nai wardat kabhi kabhi

    wo jahan kahin nazar aa gae baDa ittifaq hasin raha

    mujhe tirgi thi nasib mein mili chand raat kabhi kabhi

    main zamin-naward tha ishq mein magar aise moD bhi aa gae

    mah-o-mehr tak mujhe le gaya safar-e-hayat kabhi kabhi

    tera 'qaisar' amn-o-sukun mein bhi na bacha fareb-e-jamal se

    teri ek nigah se khul gaya dar-e-hadsat kabhi kabhi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now