teri chahat hi meri zist ka sarmaya hai
terī chāhat hī mirī ziist kā sarmāya hai
ḳhud ko khoyā hai to ab pyaar tirā paayā hai
jis kī ḳhātir mirī āñkhoñ ke diye raushan the
aaj āñgan meñ vo mahtāb utar aayā hai
shab-e-furqat mere ā.īna-e-dil meñ hamdam
tū na aayā to tirā aks ubhar aayā hai
ik na ik din use ehsās-e-nadāmat hogā
be-sabab us ne mire pyaar ko Thukrāyā hai
aur kuchh bhī na diyā jhūTī tasallī ke sivā
mujh ko bachchoñ kī tarah aap ne bahlāyā hai
dasht-e-tanhā.ī meñ qaidī kī tarah huuñ 'zīnat'
maiñ jahāñ huuñ vahāñ hamdard na ham-sāya hai
teri chahat hi meri zist ka sarmaya hai
KHud ko khoya hai to ab pyar tera paya hai
jis ki KHatir meri aankhon ke diye raushan the
aaj aangan mein wo mahtab utar aaya hai
shab-e-furqat mere aaina-e-dil mein hamdam
tu na aaya to tera aks ubhar aaya hai
ek na ek din use ehsas-e-nadamat hoga
be-sabab us ne mere pyar ko Thukraya hai
aur kuchh bhi na diya jhuTi tasalli ke siwa
mujh ko bachchon ki tarah aap ne bahlaya hai
dasht-e-tanhai mein qaidi ki tarah hun 'zinat'
main jahan hun wahan hamdard na ham-saya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.