teri chashm-e-karam rahe mahfuz
terī chashm-e-karam rahe mahfūz
āñdhiyoñ meñ bhī ham rahe mahfūz
azmat-e-zindagī isī se hai
lazzat-e-dard-o-ġham rahe mahfūz
saif-o-neza se kyā ġharaz ham ko
bas hamārā qalam rahe mahfūz
zabt-e-ġham kā yahī taqāzā hai
un kā dast-e-sitam rahe mahfūz
terī yādoñ kī sham.a raushan hai
raunaq-e-shām-e-ġham rahe mahfūz
āsmāñ ne bahut sitam Dhaa.e
phir bhī vallāh ham rahe mahfūz
tā-qayāmat ḳhudā kare 'sābir'
sham.a-e-tāq-e-haram rahe mahfūz
teri chashm-e-karam rahe mahfuz
aandhiyon mein bhi hum rahe mahfuz
azmat-e-zindagi isi se hai
lazzat-e-dard-o-gham rahe mahfuz
saif-o-neza se kya gharaz hum ko
bas hamara qalam rahe mahfuz
zabt-e-gham ka yahi taqaza hai
un ka dast-e-sitam rahe mahfuz
teri yaadon ki shama raushan hai
raunaq-e-sham-e-gham rahe mahfuz
aasman ne bahut sitam Dhae
phir bhi wallah hum rahe mahfuz
ta-qayamat KHuda kare 'sabir'
shama-e-taq-e-haram rahe mahfuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.