teri dawat mein gar khana nahin tha
terī dāvat meñ gar khānā nahīñ thā
tujhe tambū bhī lagvānā nahīñ thā
mirā kurtā purānā ho gayā hai
mujhe mahfil meñ yuuñ aanā nahīñ thā
imārat meñ lagā letā ise maiñ
mujhe patthar se Takrānā nahīñ thā
ye merā thā safar maiñ ne chunā thā
mujhe kāñToñ se ghabrānā nahīñ thā
samajh letā maiñ ḳhud hī baat us kī
mujhe us ko to samjhānā nahīñ thā
tujhe raajā banā dete kabhī kā
magar afsos tū kaanā nahīñ thā
chhupāte ham kahāñ par āñsuoñ ko
vahāñ koī bhī tah-ḳhāna nahīñ thā
mohabbat to ibādat thī kisī din
faqat jī kā hī bahlānā nahīñ thā
jahāñ par yudh meñ shāmil the saare
vahāñ tum ko bhī ghabrānā nahīñ thā
teri dawat mein gar khana nahin tha
tujhe tambu bhi lagwana nahin tha
mera kurta purana ho gaya hai
mujhe mahfil mein yun aana nahin tha
imarat mein laga leta ise main
mujhe patthar se Takrana nahin tha
ye mera tha safar main ne chuna tha
mujhe kanTon se ghabrana nahin tha
samajh leta main KHud hi baat us ki
mujhe us ko to samjhana nahin tha
tujhe raja bana dete kabhi ka
magar afsos tu kana nahin tha
chhupate hum kahan par aansuon ko
wahan koi bhi tah-KHana nahin tha
mohabbat to ibaadat thi kisi din
faqat ji ka hi bahlana nahin tha
jahan par yudh mein shamil the sare
wahan tum ko bhi ghabrana nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.