teri dahliz pe jo KHud ko jhuka sakte hain
terī dahlīz pe jo ḳhud ko jhukā sakte haiñ
vo koī aur qadam bhī to uThā sakte haiñ
qais ne dasht meñ itnī to ijāzat dī hai
aap kuchh roz yahāñ ḳhaak uḌā sakte haiñ
laakh hī talḳh shab-o-roz diye tū ne magar
zindagī tere liye haath baḌhā sakte haiñ
chahchahātī huī āvāzoñ ko tarse hue log
ab bhī chāheñ to na.e peḌ lagā sakte haiñ
shor se ḳhāmushī kī samt safar karte hue
ḳhāmushī se bhī koī shor uThā sakte haiñ
teri dahliz pe jo KHud ko jhuka sakte hain
wo koi aur qadam bhi to uTha sakte hain
qais ne dasht mein itni to ijazat di hai
aap kuchh roz yahan KHak uDa sakte hain
lakh hi talKH shab-o-roz diye tu ne magar
zindagi tere liye hath baDha sakte hain
chahchahati hui aawazon ko tarse hue log
ab bhi chahen to nae peD laga sakte hain
shor se KHamushi ki samt safar karte hue
KHamushi se bhi koi shor uTha sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.