teri dastak ki aas darwaze
terī dastak kī aas darvāze
shaam se haiñ udaas darvāze
phir bhī bāhar qadam nahīñ rakkhā
the mire aas paas darvāze
us ke āñgan meñ jā ke khulte haiñ
merī qismat ke ḳhaas darvāze
koī āvāz sun nahīñ saktā
jab ki lete haiñ saañs darvāze
us ke ghar meñ ḳhamosh dīvāreñ
mere ghar meñ udaas darvāze
us galī kī taraf nahīñ jaanā
haiñ vahāñ be-libās darvāze
Thiik hai band hī rakho ham par
shahr ke bad-havās darvāze
maiñ tire dukh ko bhī samajhtā huuñ
ai mire ġham-shanās darvāze
maiñ ne ghar meñ rakhe 'sahar' lekin
mujh ko aa.e na raas darvāze
teri dastak ki aas darwaze
sham se hain udas darwaze
phir bhi bahar qadam nahin rakkha
the mere aas pas darwaze
us ke aangan mein ja ke khulte hain
meri qismat ke KHas darwaze
koi aawaz sun nahin sakta
jab ki lete hain sans darwaze
us ke ghar mein KHamosh diwaren
mere ghar mein udas darwaze
us gali ki taraf nahin jaana
hain wahan be-libas darwaze
Thik hai band hi rakho hum par
shahr ke bad-hawas darwaze
main tere dukh ko bhi samajhta hun
ai mere gham-shanas darwaze
main ne ghar mein rakhe 'sahar' lekin
mujh ko aae na ras darwaze
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.