terī dil-navāz bāteñ tirī dil-nashīñ adā.eñ
tirī aarzū meñ kaise na jahāñ ko bhuul jaa.eñ
koī giit gungunā.eñ ki ġhazal koī sunā.eñ
tire gesuoñ ke saa.e meñ ye soch bhī na paa.eñ
ye na jaane aaj kis ne dar-e-dil pe dī hai dastak
ye jo uTh rahā hai tūfāñ ise kis tarah dabā.eñ
ye navāzish-e-junūñ hai ki fusūñ tirī nazar kā
ye mutālba hai dil kā abhī aur fareb khā.eñ
tirī anjuman meñ ab bhī haiñ 'shamīm' ajnabī se
kise rāz-dāñ banā.eñ kise zaḳhm-e-dil dikhā.eñ
teri dil-nawaz baaten teri dil-nashin adaen
teri aarzu mein kaise na jahan ko bhul jaen
koi git gungunaen ki ghazal koi sunaen
tere gesuon ke sae mein ye soch bhi na paen
ye na jaane aaj kis ne dar-e-dil pe di hai dastak
ye jo uTh raha hai tufan ise kis tarah dabaen
ye nawazish-e-junun hai ki fusun teri nazar ka
ye mutalba hai dil ka abhi aur fareb khaen
teri anjuman mein ab bhi hain 'shamim' ajnabi se
kise raaz-dan banaen kise zaKHm-e-dil dikhaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.