teri gali mein jo mila us se pata puchha tera
terī galī meñ jo milā us se pata pūchhā tirā
sab tujh se the nā-āshnā par sab meñ thā shohrā tirā
koī na thā jab āshnā ham ne kiyā charchā tirā
ai har kisī ke āshnā ab ham se kyā rishta tirā
tū jab huā pīr-e-muġhāñ the sab hī tere mad.h-ḳhvāñ
rah kar ḳhamosh ai ḳhud-nigar ham ne bharam rakkhā tirā
un se ta.alluq qat.a kar jin se huā tū mo'atabar
rakh nā-shanāsoñ par nazar rah jā.egā pardā tirā
auroñ ke naqsh-e-pā pe ham kis tarah se rakhte qadam
lākhoñ nuqūsh-e-pā se thā chhalkā huā jaada tirā
tū kar unhī par saḳhtiyāñ raushan hai jin se terī jaañ
un par hī tū rah mehrbāñ karte haiñ jo saudā tirā
barsoñ se haiñ dīda-varāñ terī galī meñ sargirāñ
sab kuchh dharā rah jā.egā chal de jo banjārā tirā
hai ye hamārā hī lahū ab tak rahā tū surḳh-rū
ham deñ na jis din ḳhūñ-bahā bujh jā.egā chehrā tirā
ai shahr-e-mardum-nā-shanās ai bazm-e-fan-nā-āshnā
sannāTe boleñge yahāñ chhoḌeñ jo ham kūcha tirā
tū munfarid aalam se hai ye sab hamāre dam se hai
mulk-e-suḳhan meñ ham se hī gūñjā huā naġhmā tirā
ho jab tirā qissa raqam aur rok leñ ik ham qalam
kis zikr kis unvān se phir naam aa.egā tirā
teri gali mein jo mila us se pata puchha tera
sab tujh se the na-ashna par sab mein tha shohra tera
koi na tha jab aashna hum ne kiya charcha tera
ai har kisi ke aashna ab hum se kya rishta tera
tu jab hua pir-e-mughan the sab hi tere madh-KHwan
rah kar KHamosh ai KHud-nigar hum ne bharam rakkha tera
un se talluq qata kar jin se hua tu mo'atabar
rakh na-shanason par nazar rah jaega parda tera
auron ke naqsh-e-pa pe hum kis tarah se rakhte qadam
lakhon nuqush-e-pa se tha chhalka hua jada tera
tu kar unhi par saKHtiyan raushan hai jin se teri jaan
un par hi tu rah mehrban karte hain jo sauda tera
barson se hain dida-waran teri gali mein sargiran
sab kuchh dhara rah jaega chal de jo banjara tera
hai ye hamara hi lahu ab tak raha tu surKH-ru
hum den na jis din KHun-baha bujh jaega chehra tera
ai shahr-e-mardum-na-shanas ai bazm-e-fan-na-ashna
sannaTe bolenge yahan chhoDen jo hum kucha tera
tu munfarid aalam se hai ye sab hamare dam se hai
mulk-e-suKHan mein hum se hi gunja hua naghma tera
ho jab tera qissa raqam aur rok len ek hum qalam
kis zikr kis unwan se phir nam aaega tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.