teri girah mein mal faqat chaar din ka hai
terī girah meñ maal faqat chaar din kā hai
jazboñ meñ ishti.āl faqat chaar din kā hai
bām-e-urūj par bhī kabhī ā.ūñgā zarūr
ham-dam mirā zavāl faqat chaar din kā hai
kis ko ḳhabar sahāb kahāñ jā ke ro.egā
mausam ye barshgāl faqat chaar din kā hai
terī samā.atoñ ke hunar ko mile davām
merā suḳhan kamāl faqat chaar din kā hai
ham ishq-e-lā-zavāl ke daa.im marīz haiñ
achchhā ye hāl-chāl faqat chaar din kā hai
gardan kaTā ke ham yahī kahte rahe 'valī'
zaḳhmoñ kā indimāl faqat chaar din kā hai
teri girah mein mal faqat chaar din ka hai
jazbon mein ishtial faqat chaar din ka hai
baam-e-uruj par bhi kabhi aaunga zarur
ham-dam mera zawal faqat chaar din ka hai
kis ko KHabar sahab kahan ja ke roega
mausam ye barshgal faqat chaar din ka hai
teri samaaton ke hunar ko mile dawam
mera suKHan kamal faqat chaar din ka hai
hum ishq-e-la-zawal ke daim mariz hain
achchha ye haal-chaal faqat chaar din ka hai
gardan kaTa ke hum yahi kahte rahe 'wali'
zaKHmon ka indimal faqat chaar din ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.