teri har baat pe tanqid nahin kar sakta
terī har baat pe tanqīd nahīñ kar saktā
haañ magar jhuuT kī tā.īd nahīñ kar saktā
tū agar jaan bhī māñge to ḳhushī se de duuñ
maiñ tire hukm kī tardīd nahīñ kar saktā
āḳhirī 'ishq kiyā maiñ ne magar pahlī baar
dūsrī baar ye tafrīd nahīñ kar saktā
maiñ ne dekhā hai badaltā huā lahja terā
is liye tujh se to ummīd nahīñ kar saktā
tū ne is haal meñ chhoḌā hai ki allāh allāh
'iid kā din hai magar 'iid nahīñ kar saktā
ye alag baat suḳhanvar huuñ maiñ 'ādil-rāhī'
dard itne haiñ ki tasvīr nahīñ kar saktā
teri har baat pe tanqid nahin kar sakta
han magar jhuT ki taid nahin kar sakta
tu agar jaan bhi mange to KHushi se de dun
main tere hukm ki tardid nahin kar sakta
aaKHiri 'ishq kiya main ne magar pahli bar
dusri bar ye tafrid nahin kar sakta
main ne dekha hai badalta hua lahja tera
is liye tujh se to ummid nahin kar sakta
tu ne is haal mein chhoDa hai ki allah allah
'id ka din hai magar 'id nahin kar sakta
ye alag baat suKHanwar hun main 'adil-rahi'
dard itne hain ki taswir nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.