teri hi taswir mein tera badal DhunDa gaya
teri hi taswir mein tera badal DhunDa gaya
Vijendra Singh Parwaz
MORE BYVijendra Singh Parwaz
terī hī tasvīr meñ terā badal DhūñDā gayā
kitnī āsānī se ik mushkil kā hal DhūñDā gayā
tujh ko duniyā kī nigāhoñ se bachāne ke liye
dil ke dariyā kī tahoñ meñ ik mahal DhūñDā gayā
din mahīne saal kyā sadiyāñ ḳhafā hone lagīñ
pyaar karne ke liye jab ek pal DhūñDā gayā
maiñ jo āñkheñ muuñd kar Duubā huuñ terī yaad meñ
Dālne ke vāste koī ḳhalal DhūñDā gayā
kyā kahīñ pā.eñge ham aisī misāl-e-justujū
aañkh kī tashbīh kī ḳhātir kañval DhūñDā gayā
kuchh bahānā mujh ko suulī par chaḌhāne ke liye
aaj DhūñDegī ye duniyā jo na kal DhūñDā gayā
pahle kāġhaz āñsuoñ se nam kiyā 'parvāz' ne
phir adā-e-ḳhās se tujh ko ġhazal DhūñDā gayā
teri hi taswir mein tera badal DhunDa gaya
kitni aasani se ek mushkil ka hal DhunDa gaya
tujh ko duniya ki nigahon se bachane ke liye
dil ke dariya ki tahon mein ek mahal DhunDa gaya
din mahine sal kya sadiyan KHafa hone lagin
pyar karne ke liye jab ek pal DhunDa gaya
main jo aankhen mund kar Duba hun teri yaad mein
Dalne ke waste koi KHalal DhunDa gaya
kya kahin paenge hum aisi misal-e-justuju
aankh ki tashbih ki KHatir kanwal DhunDa gaya
kuchh bahana mujh ko suli par chaDhane ke liye
aaj DhunDegi ye duniya jo na kal DhunDa gaya
pahle kaghaz aansuon se nam kiya 'parwaz' ne
phir ada-e-KHas se tujh ko ghazal DhunDa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.