terī jānib agar chale hote
ham na yuuñ dar-ba-dar hue hote
saarī duniyā hai merī muTThī meñ
kaun aa.egā ab tire hote
aur ab kyuuñ nahīñ nibhāte tum
itne va.ade nahīñ kiye hote
pā liyā maiñ ne saarī duniyā ko
koī ḳhvāhish nahīñ tire hote
us kī āñkhoñ meñ baar paane ko
kaash ham ḳhvāb ban ga.e hote
teri jaanib agar chale hote
hum na yun dar-ba-dar hue hote
sari duniya hai meri muTThi mein
kaun aaega ab tere hote
aur ab kyun nahin nibhate tum
itne wade nahin kiye hote
pa liya main ne sari duniya ko
koi KHwahish nahin tere hote
us ki aankhon mein bar pane ko
kash hum KHwab ban gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.