teri jafa-o-zulm ka charcha kahan nahin
terī jafā-o-zulm kā charchā kahāñ nahīñ
aisī koī zamīñ hai jahāñ āsmāñ nahīñ
alfāz se nahīñ hai matālib kā koī rabt
kyūñkar na ek raaz bane terī haañ nahīñ
vo un kā rāzdār bane bazm-e-nāz meñ
jis āshnā-e-dard ke muñh meñ zabāñ nahīñ
gulchīn-o-bāġhbāñ bhī haiñ gul bhī haiñ baaġh meñ
lekin ġhazab to ye hai mirā āshiyāñ nahīñ
urdu unhīñ kī god meñ phūlī phalī 'riyāz'
jo log kah rahe haiñ ye merī zabāñ nahīñ
teri jafa-o-zulm ka charcha kahan nahin
aisi koi zamin hai jahan aasman nahin
alfaz se nahin hai matalib ka koi rabt
kyunkar na ek raaz bane teri han nahin
wo un ka raazdar bane bazm-e-naz mein
jis aashna-e-dard ke munh mein zaban nahin
gulchin-o-baghban bhi hain gul bhi hain bagh mein
lekin ghazab to ye hai mera aashiyan nahin
urdu unhin ki god mein phuli phali 'riyaz'
jo log kah rahe hain ye meri zaban nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.