teri jamaliyat se aage nikal gae
terī jamāliyāt se aage nikal ga.e
ham his-o-hissiyāt se aage nikal ga.e
apne kisī jazīre pe ii.deñ manāeñge
ham terī chāñd-rāt se aage nikal ga.e
likkhī huī haiñ chehroñ pe saarī kasāfateñ
ab chehre vāqi.āt se aage nikal ga.e
ab har jagah pe gaate haiñ aur nāchte haiñ log
ab ye tave parāt se aage nikal ga.e
muñh-zor pāniyoñ kī ġhizā ban ga.e vo log
jo kashtī-e-najāt se aage nikal ga.e
jo dil kahegā ab vo kareñge suno suno
ham vaz-e-ehtiyāt se aage nikal ga.e
jo tujh ko kā.enāt samajhte the aaj tak
vo terī kā.enāt se aage nikal ga.e
teri jamaliyat se aage nikal gae
hum his-o-hissiyat se aage nikal gae
apne kisi jazire pe iden manaenge
hum teri chand-raat se aage nikal gae
likkhi hui hain chehron pe sari kasafaten
ab chehre waqiat se aage nikal gae
ab har jagah pe gate hain aur nachte hain log
ab ye tawe paraat se aage nikal gae
munh-zor paniyon ki ghiza ban gae wo log
jo kashti-e-najat se aage nikal gae
jo dil kahega ab wo karenge suno suno
hum waz-e-ehtiyat se aage nikal gae
jo tujh ko kaenat samajhte the aaj tak
wo teri kaenat se aage nikal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.