teri justuju mein jahan dekh aae
terī justujū meñ jahāñ dekh aa.e
kahāñ dekhnā thā kahāñ dekh aa.e
chale sub.h-dam shaam ghar lauT aa.e
zamīñ āsmāñ kahkashāñ dekh aa.e
rahe rahguzar par khaḌe shaam tak ham
guzarte rahe kārvāñ dekh aa.e
qadam dekhnā ḳhud ye chūmeñgī maujeñ
zamīñ-bos ham āsmāñ dekh aa.e
na mausam na bād-e-sabā raas aa.ī
chaman meñ thā raqs-e-ḳhizāñ dekh aa.e
har ik shahr dekhā pata jā ke pūchhā
jidhar bhī ga.e kuchh dhuāñ dekh aa.e
gale mil ke dekhā hai rotī fazā.eñ
chaman āshiyāñ bāġhbāñ dekh aa.e
teri justuju mein jahan dekh aae
kahan dekhna tha kahan dekh aae
chale subh-dam sham ghar lauT aae
zamin aasman kahkashan dekh aae
rahe rahguzar par khaDe sham tak hum
guzarte rahe karwan dekh aae
qadam dekhna KHud ye chumengi maujen
zamin-bos hum aasman dekh aae
na mausam na baad-e-saba ras aai
chaman mein tha raqs-e-KHizan dekh aae
har ek shahr dekha pata ja ke puchha
jidhar bhi gae kuchh dhuan dekh aae
gale mil ke dekha hai roti fazaen
chaman aashiyan baghban dekh aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.