teri kaman ke bas se bhi aage nikal gaya
terī kamāñ ke bas se bhī aage nikal gayā
maiñ 'ishq meñ havas se bhī aage nikal gayā
apnī talāsh meñ jo nikālā gayā thā pal
vo pal to sau baras se bhī aage nikal gayā
lukkā-chhupī ke vaqt tumhāre ḳhayāl meñ
ginñe lagā to das se bhī aage nikal gayā
hai jin kī dastaras meñ zamīñ aur āsmāñ
maiñ un kī dastaras se bhī aage nikal gayā
teri kaman ke bas se bhi aage nikal gaya
main 'ishq mein hawas se bhi aage nikal gaya
apni talash mein jo nikala gaya tha pal
wo pal to sau baras se bhi aage nikal gaya
lukka-chhupi ke waqt tumhaare KHayal mein
ginne laga to das se bhi aage nikal gaya
hai jin ki dastaras mein zamin aur aasman
main un ki dastaras se bhi aage nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.