teri KHushbu ka tarasha hai ye paikar kis ne
terī ḳhushbū kā tarāshā hai ye paikar kis ne
kar diyā hai mirā māhaul mo'attar kis ne
āsmāñ himmat-e-parvāz se kuchh duur nahīñ
is tamannā ke magar kaaT liye par kis ne
nā-samajh qatra-e-nāchīz kī vaq'at ko samajh
tū samundar hai banāyā hai samundar kis ne
kis kī pāzeb kā sañgīt hai hastī merī
paañv se bāñdh liyā merā muqaddar kis ne
partav-e-husn hai nāhīd guzar-gāh-e-ḳhayāl
sar pe rakkhī hai chhalaktī huī gāgar kis ne
ḳhushnumā dā.ere bante hī chale jaate haiñ
dil ke tālāb meñ pheñkā hai ye kankar kis ne
tū merā dost sahī yaar magar ye to batā
vaqt ye dhoka diyā hai mujhe aksar kis ne
daf.atan kis ne jagā dī mirī soī qismat
merā muñh chuum liyā ḳhvāb meñ 'afsar' kis ne
teri KHushbu ka tarasha hai ye paikar kis ne
kar diya hai mera mahaul mo'attar kis ne
aasman himmat-e-parwaz se kuchh dur nahin
is tamanna ke magar kaT liye par kis ne
na-samajh qatra-e-nachiz ki waq'at ko samajh
tu samundar hai banaya hai samundar kis ne
kis ki pazeb ka sangit hai hasti meri
panw se bandh liya mera muqaddar kis ne
partaw-e-husn hai nahid guzar-gah-e-KHayal
sar pe rakkhi hai chhalakti hui gagar kis ne
KHushnuma daere bante hi chale jate hain
dil ke talab mein phenka hai ye kankar kis ne
tu mera dost sahi yar magar ye to bata
waqt ye dhoka diya hai mujhe aksar kis ne
dafatan kis ne jaga di meri soi qismat
mera munh chum liya KHwab mein 'afsar' kis ne
- Book : URDU-1983 (Pg. 126)
- Author : NAND KISHORE VIKRAM
- Publication : Publishers & Advertisers J-6,Krishan Nagar (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.