teri madad se tera idrak ho sake hai
terī madad se terā idrāk ho sake hai
varna is aadmī se kiyā ḳhaak ho sake hai
tū hī samajh samajh kar kar de maaf ham ko
terā hisāb ham se kab paak ho sake hai
ḳhatra nahīñ kisī kā jo chāhe kar sake hai
tujh sā koī jahāñ meñ bebāk ho sake hai
rone ko mere jaldī Tuk dekh khol āñkheñ
ab tak hai chashm merī namnāk ho sake hai
lākhoñ kā dil jalāyā lākhoñ kā jī khapāyā
tujh se koī ziyāda saffāk ho sake hai
vo jald dastiyoñ ke jaate rahe zamāne
ab haath se garebāñ kab chaak ho sake hai
jo kuchh sharāb meñ haiñ kaifiyyateñ nashe kī
tujh meñ mazā ye koī tiryāk ho sake hai
us māh-rū ko bāham kar de 'hasan' se ik shab
gardish se terī itnā aflāk ho sake hai
teri madad se tera idrak ho sake hai
warna is aadmi se kiya KHak ho sake hai
tu hi samajh samajh kar kar de maf hum ko
tera hisab hum se kab pak ho sake hai
KHatra nahin kisi ka jo chahe kar sake hai
tujh sa koi jahan mein bebak ho sake hai
rone ko mere jaldi Tuk dekh khol aankhen
ab tak hai chashm meri namnak ho sake hai
lakhon ka dil jalaya lakhon ka ji khapaya
tujh se koi ziyaada saffak ho sake hai
wo jald dastiyon ke jate rahe zamane
ab hath se gareban kab chaak ho sake hai
jo kuchh sharab mein hain kaifiyyaten nashe ki
tujh mein maza ye koi tiryak ho sake hai
us mah-ru ko baham kar de 'hasan' se ek shab
gardish se teri itna aflak ho sake hai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.