teri mahfil mein aa ke jo baiThe
terī mahfil meñ aa ke jo baiThe
apne hosh-o-havās kho baiThe
zindagī ko talāsh karne meñ
zindagī hī se haath dho baiThe
kis ko chāhā thā kaisī qismat thī
kis kā honā thā kis ke ho baiThe
kyā sabab thā ye kuchh nahīñ ma.alūm
vo jo ro.e to ham bhī ro baiThe
justujū meñ kisī kī nikle the
aur apnā vajūd kho baiThe
teri mahfil mein aa ke jo baiThe
apne hosh-o-hawas kho baiThe
zindagi ko talash karne mein
zindagi hi se hath dho baiThe
kis ko chaha tha kaisi qismat thi
kis ka hona tha kis ke ho baiThe
kya sabab tha ye kuchh nahin malum
wo jo roe to hum bhi ro baiThe
justuju mein kisi ki nikle the
aur apna wajud kho baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.