teri mahfil mein jo hum dard ke mare aae
terī mahfil meñ jo ham dard ke maare aa.e
ahl-e-dastār bhī dastār utāre aa.e
kitnī muddat pe mirī jhiil kī vīrānī ga.ī
kitnī muddat pe yahāñ phir se shikāre aa.e
jo sukūñ the vo samundar ne sabhī dhaar liye
aur dariyāoñ ke dāman meñ kināre aa.e
us ne is baar na.ī tarz kī khelī baazī
mere ġham ab ke na.e ruup ko dhāre aa.e
ab udāsī hai na vahshat hai na ġham hai na qazā
saañs aa.e bhī to phir kis ke sahāre aa.e
āḳhirī saañs talak duniyā nahīñ aa.ī samajh
zindagī ke mujhe ab tak na guzāre aa.e
raqs-e-vahshat vo kiyā saarī hadeñ TuuT ga.iiñ
ik zarā dil kī taraf se jo ishāre aa.e
is se baḌh kar nahīñ ho saktā mohabbat kā subūt
sāñs-dar-sāñs faqat aap pe haare aa.e
naf' nuqsān ho 'sādiq' to kareñ bhī tafrīq
apne hisse to ḳhasāre hī ḳhasāre aa.e
teri mahfil mein jo hum dard ke mare aae
ahl-e-dastar bhi dastar utare aae
kitni muddat pe meri jhil ki virani gai
kitni muddat pe yahan phir se shikare aae
jo sukun the wo samundar ne sabhi dhaar liye
aur dariyaon ke daman mein kinare aae
us ne is bar nai tarz ki kheli bazi
mere gham ab ke nae rup ko dhaare aae
ab udasi hai na wahshat hai na gham hai na qaza
sans aae bhi to phir kis ke sahaare aae
aaKHiri sans talak duniya nahin aai samajh
zindagi ke mujhe ab tak na guzare aae
raqs-e-wahshat wo kiya sari haden TuT gain
ek zara dil ki taraf se jo ishaare aae
is se baDh kar nahin ho sakta mohabbat ka subut
sans-dar-sans faqat aap pe haare aae
naf' nuqsan ho 'sadiq' to karen bhi tafriq
apne hisse to KHasare hi KHasare aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.