teri mahfil se main kya jata hun
terī mahfil se maiñ kyā jaatā huuñ
dil ke malbe meñ dabā jaatā huuñ
maiñ rafū-gar ke ishāre par huuñ
chāk-dāmāñ huuñ siyā jaatā huuñ
dekh kar mujh ko yuuñ nālāñ mat ho
tū kahe to maiñ chalā jaatā huuñ
tere kūche se guzar hotā hai
aap hī aap rukā jaatā huuñ
jurm kyā hai ye to ma.alūm nahīñ
pas-e-dīvār chunā jaatā huuñ
bhiik māñgī hai mohabbat kī magar
apnī nazroñ meñ girā jaatā huuñ
ahd kartā huuñ bhulāne kā tujhe
phir tirī bātoñ meñ aa jaatā huuñ
maiñ suḳhan terā nahīñ huuñ phir bhī
tere sheroñ meñ paḌhā jaatā huuñ
aarzū chāñd sitāroñ kī hai
āsmānoñ meñ uḌā jaatā huuñ
us ne sāvan kī tamanna kī hai
apnī āñkhoñ se bahā jaatā huuñ maiñ
is qadar raas hai tanhā.ī mujhe
apne saa.e se judā jaatā huuñ
log pāgal to samajhte hoñge
maiñ jo be-vaqt hañsā jaatā huuñ
vo kahīñ aur se detā hai sadā
maiñ kahīñ aur chalā jaatā huuñ
de ke lālach tire ḳhvāboñ kā maiñ
apnī āñkhoñ ko silā jaatā huuñ
ġhair phir ġhair haiñ kyā kiije gila
dhoka apnoñ se hī khā jaatā huuñ
aag ḳhud dil meñ lagā rakkhī hai
apne hāthoñ hī jalā jaatā huuñ
zinda rahne kī vajah sirf hai tū
tere va.adoñ pe jiyā jaatā huuñ
ek dīvār uThāne ke liye
ek dīvār girā jaatā huuñ
toḌā jaatā hai mujhe roz 'fahīm'
roz ta.amīr kiyā jaatā huuñ
teri mahfil se main kya jata hun
dil ke malbe mein daba jata hun
main rafu-gar ke ishaare par hun
chaak-daman hun siya jata hun
dekh kar mujh ko yun nalan mat ho
tu kahe to main chala jata hun
tere kuche se guzar hota hai
aap hi aap ruka jata hun
jurm kya hai ye to malum nahin
pas-e-diwar chuna jata hun
bhik mangi hai mohabbat ki magar
apni nazron mein gira jata hun
ahd karta hun bhulane ka tujhe
phir teri baaton mein aa jata hun
main suKHan tera nahin hun phir bhi
tere sheron mein paDha jata hun
aarzu chand sitaron ki hai
aasmanon mein uDa jata hun
us ne sawan ki tamanna ki hai
apni aankhon se baha jata hun main
is qadar ras hai tanhai mujhe
apne sae se juda jata hun
log pagal to samajhte honge
main jo be-waqt hansa jata hun
wo kahin aur se deta hai sada
main kahin aur chala jata hun
de ke lalach tere KHwabon ka main
apni aankhon ko sila jata hun
ghair phir ghair hain kya kije gila
dhoka apnon se hi kha jata hun
aag KHud dil mein laga rakkhi hai
apne hathon hi jala jata hun
zinda rahne ki wajah sirf hai tu
tere wadon pe jiya jata hun
ek diwar uThane ke liye
ek diwar gira jata hun
toDa jata hai mujhe roz 'fahim'
roz tamir kiya jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.