teri mahfil se uTh ke diwane
terī mahfil se uTh ke dīvāne
chal diye phir kahāñ ḳhudā jaane
kis ko mālūm thā ḳhushī ke liye
dard-o-ġham bhī paḌeñge apnāne
jin se muddat kī thī shanāsā.ī
aaj vo bhī bane haiñ begāne
ye fasāne kabhī ke miT jaate
baat rakh lī mire masīhā ne
jin kā ġham ke sivā koī na huā
vo ḳhushī ko chale haiñ apnāne
phir huā aaj mehrbāñ saaqī
phir chhalakne lage haiñ paimāne
kitnī mohtāt thiiñ mirī nazreñ
ban ga.e phir bhī kitne afsāne
na milā ai 'asar' vo but ab tak
go hazāroñ mile sanam-ḳhāne
teri mahfil se uTh ke diwane
chal diye phir kahan KHuda jaane
kis ko malum tha KHushi ke liye
dard-o-gham bhi paDenge apnane
jin se muddat ki thi shanasai
aaj wo bhi bane hain begane
ye fasane kabhi ke miT jate
baat rakh li mere masiha ne
jin ka gham ke siwa koi na hua
wo KHushi ko chale hain apnane
phir hua aaj mehrban saqi
phir chhalakne lage hain paimane
kitni mohtat thin meri nazren
ban gae phir bhi kitne afsane
na mila ai 'asar' wo but ab tak
go hazaron mile sanam-KHane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.