teri mansha hai KHamoshi meri hai marzi aawaz
terī manshā hai ḳhāmoshī merī hai marzī āvāz
aao mil kar aaj banā.eñ ham koī farzī āvāz
chhāgal bhī labrez hai ab to lekin merī gūñgī pyaas
terī ok se piinā chāhe ThanDe chashme kī āvāz
kis kī ho zarḳhez samā.at kis kī banjar kyā ma.alūm
bhaTke har ik samt TaTole har rasta andhī āvāz
dil se lab tak aate aate lafz badal jaate haiñ ab
pahle aa jaatī thī hoñToñ par ḳhālis sachchī āvāz
ek se haiñ ādāb zabāñ-bandī ke har ik mahfil meñ
sabr kā jaam uThā ai dil aur ḳhāmoshī se pī āvāz
uzr usuul javāz ke charḳhe kaat rahā hai har koī
tū bhī apnī majbūrī kā dhāgā le aur sī āvāz
vahī musalsal beach hamāre ek masāfat kī duurī
vaise har ik moḌ pe ruk ke us ne ham ko dī āvāz
zer-e-lab kuchh maañg rahe the sab kashkol liye jis se
us ne pheñkī mere kaase meñ sab se ūñchī āvāz
soch rahī huuñ naam pe apne chauñk ke pīchhe muḌte hue
vahm thā merā yā phir sach-much terī hī vo thī āvāz
gahrī ḳhāmoshī meñ bahte be-ābād jazīroñ se
kis ne merā naam pukārā kis ne mujh ko dī āvāz
teri mansha hai KHamoshi meri hai marzi aawaz
aao mil kar aaj banaen hum koi farzi aawaz
chhagal bhi labrez hai ab to lekin meri gungi pyas
teri ok se pina chahe ThanDe chashme ki aawaz
kis ki ho zarKHez samaat kis ki banjar kya malum
bhaTke har ek samt TaTole har rasta andhi aawaz
dil se lab tak aate aate lafz badal jate hain ab
pahle aa jati thi honTon par KHalis sachchi aawaz
ek se hain aadab zaban-bandi ke har ek mahfil mein
sabr ka jam uTha ai dil aur KHamoshi se pi aawaz
uzr usul jawaz ke charKHe kat raha hai har koi
tu bhi apni majburi ka dhaga le aur si aawaz
wahi musalsal beach hamare ek masafat ki duri
waise har ek moD pe ruk ke us ne hum ko di aawaz
zer-e-lab kuchh mang rahe the sab kashkol liye jis se
us ne phenki mere kase mein sab se unchi aawaz
soch rahi hun nam pe apne chaunk ke pichhe muDte hue
wahm tha mera ya phir sach-much teri hi wo thi aawaz
gahri KHamoshi mein bahte be-abaad jaziron se
kis ne mera nam pukara kis ne mujh ko di aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.