teri manzil ki rasta hun main
terī manzil ki rāsta huuñ maiñ
kuchh batā to sahī ki kyā huuñ maiñ
terī uljhī huī kahānī kā
ek dilchasp vāqi.a huuñ maiñ
hosh mujh ko nahīñ samajh paatā
be-ḳhudī tū batā ki kyā huuñ maiñ
tere saare uyuub jāntī huuñ
terī ḳhātir to aa.ina huuñ maiñ
jis kā rahrav abhī nahīñ pahuñchā
ek pur-pech rāsta huuñ maiñ
chand kirnoñ ke intizār meñ huuñ
sub.h-e-kāzib kā jhuTpuTā huuñ maiñ
mere andar mudām gardish hai
ab khulā hai ki dā.era huuñ maiñ
jāntī huuñ tirī riyāzat ko
terī chāhat huuñ mudda.ā huuñ maiñ
terī furqat meñ jī rahī huuñ 'farah'
yuuñ mohabbat meñ mo.ajiza huuñ maiñ
teri manzil ki rasta hun main
kuchh bata to sahi ki kya hun main
teri uljhi hui kahani ka
ek dilchasp waqia hun main
hosh mujh ko nahin samajh pata
be-KHudi tu bata ki kya hun main
tere sare uyub jaanti hun
teri KHatir to aaina hun main
jis ka rahraw abhi nahin pahuncha
ek pur-pech rasta hun main
chand kirnon ke intizar mein hun
subh-e-kazib ka jhuTpuTa hun main
mere andar mudam gardish hai
ab khula hai ki daera hun main
jaanti hun teri riyazat ko
teri chahat hun muddaa hun main
teri furqat mein ji rahi hun 'farah'
yun mohabbat mein moajiza hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.