teri marzi ke KHad-o-Khaal mein Dhalta hua main
terī marzī ke ḳhad-o-ḳhāl meñ Dhaltā huā maiñ
ḳhaak se aab na ho jā.ūñ pighaltā huā maiñ
ai ḳhizāñ maiñ tujhe ḳhush-rang banā saktā thā
tujh se dekhā na gayā phūltā-phaltā huā maiñ
mujh ko māñgī huī 'izzat nahīñ puurī aatī
TuuT jā.ūñ na ye poshāk badaltā huā maiñ
sho.abda-gar nahīñ mehmān-e-saf-e-yārāñ huuñ
zahr piitā huā aur shahd ugaltā huā maiñ
yam-ba-yam ruuh machaltī huī machhlī kī tarah
dam-ba-dam vaqt ke hāthoñ se phisaltā huā maiñ
ab mirī raakh uḌā yā mujhe āñkhoñ se lagā
tujh talak aa gayā huuñ aag pe chaltā huā maiñ
kah rahī haiñ mujhe vo hausla-afzā āñkheñ
ruuh tak jā.ūñ ḳhad-o-ḳhāl masaltā huā maiñ
ho na ho ek hī tasvīr ke do pahlū haiñ
raqs kartā huā tū aag meñ jaltā huā maiñ
kār-e-darveshī jazā-yāb hai lekin 'shāhid'
ḳhush nahīñ ḳhalvat-e-ḳhālī se bahaltā huā maiñ
teri marzi ke KHad-o-KHal mein Dhalta hua main
KHak se aab na ho jaun pighalta hua main
ai KHizan main tujhe KHush-rang bana sakta tha
tujh se dekha na gaya phulta-phalta hua main
mujh ko mangi hui 'izzat nahin puri aati
TuT jaun na ye poshak badalta hua main
shoabda-gar nahin mehman-e-saf-e-yaran hun
zahr pita hua aur shahd ugalta hua main
yam-ba-yam ruh machalti hui machhli ki tarah
dam-ba-dam waqt ke hathon se phisalta hua main
ab meri rakh uDa ya mujhe aankhon se laga
tujh talak aa gaya hun aag pe chalta hua main
kah rahi hain mujhe wo hausla-afza aankhen
ruh tak jaun KHad-o-KHal masalta hua main
ho na ho ek hi taswir ke do pahlu hain
raqs karta hua tu aag mein jalta hua main
kar-e-darweshi jaza-yab hai lekin 'shahid'
KHush nahin KHalwat-e-KHali se bahalta hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.