teri mehndi mein mere KHun ki mahak aa jae
terī mehñdī meñ mire ḳhuuñ kī mahak aa jaa.e
phir to ye shahr mirī jaan talak aa jaa.e
bus pe ye soch ke chaḌhte hue rah jaatā huuñ
kyā ḳhabar tere ravayye meñ lachak aa jaa.e
uuñT aur ret mirī zaat kā hissa the magar
ab qadam ghar se nikālūñ to saḌak aa jaa.e
ghar kī dīvār pe karvā ke safedī piilī
chāhtā huuñ mirī āñkhoñ meñ chamak aa jaa.e
ye bhī mumkin hai mirā saaya mirā saath na de
ye bhī mumkin hai mujhe terī kumak aa jaa.e
teri mehndi mein mere KHun ki mahak aa jae
phir to ye shahr meri jaan talak aa jae
bus pe ye soch ke chaDhte hue rah jata hun
kya KHabar tere rawayye mein lachak aa jae
unT aur ret meri zat ka hissa the magar
ab qadam ghar se nikalun to saDak aa jae
ghar ki diwar pe karwa ke safedi pili
chahta hun meri aankhon mein chamak aa jae
ye bhi mumkin hai mera saya mera sath na de
ye bhi mumkin hai mujhe teri kumak aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.