teri misal aankhon mein tamsil ho gai
terī misāl āñkhoñ meñ tamsīl ho ga.ī
dhaḌkan hazār rangoñ meñ tabdīl ho ga.ī
terī nazar kī chhāñv to bādal se kam na thī
phailī mirī zamīn pe maiñ jhiil ho ga.ī
kaisī badan kī qurbateñ aur kaisī chāh-e-vasl
jab ruuh terī ruuh meñ tahlīl ho ga.ī
chūmā jo us ne haath to mahsūs yuuñ huā
taqdīr-e-zindagī tirī takmīl ho ga.ī
nok-e-qalam pe āḳhirī qatra lahū kā thā
Tapkā to merī zaat kī tashkīl ho ga.ī
sab kī nazar meñ aaj nihāyat sharīf huuñ
had se ziyāda merī jo tazlīl ho ga.ī
ghar merā mere bachchoñ kī pahchān ban gayā
har riit aur rasm hī tabdīl ho ga.ī
teri misal aankhon mein tamsil ho gai
dhaDkan hazar rangon mein tabdil ho gai
teri nazar ki chhanw to baadal se kam na thi
phaili meri zamin pe main jhil ho gai
kaisi badan ki qurbaten aur kaisi chah-e-wasl
jab ruh teri ruh mein tahlil ho gai
chuma jo us ne hath to mahsus yun hua
taqdir-e-zindagi teri takmil ho gai
nok-e-qalam pe aaKHiri qatra lahu ka tha
Tapka to meri zat ki tashkil ho gai
sab ki nazar mein aaj nihayat sharif hun
had se ziyaada meri jo tazlil ho gai
ghar mera mere bachchon ki pahchan ban gaya
har rit aur rasm hi tabdil ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.