teri mohabbaton ke giraftar aa gae
terī mohabbatoñ ke giraftār aa ga.e
ya.anī aziyyatoñ ke talabgār aa ga.e
ye jānte hue ki ḳharīdār hī nahīñ
ham ḳhvāb bechne sar-e-bāzār aa ga.e
dekhā ki bazm-e-yār meñ ġhairoñ kī bhiiḌ hai
chup-chāp uTh ke ham pas-e-dīvār aa ga.e
ik phuul apne vaqt se pahle mahak uThā
jaane kahāñ kahāñ se ḳharīdār aa ga.e
bas ek baar kūcha-e-jānāñ kā ruḳh kiyā
phir us ke baad ḳhud hī sar-e-dār aa ga.e
teri mohabbaton ke giraftar aa gae
yani aziyyaton ke talabgar aa gae
ye jaante hue ki KHaridar hi nahin
hum KHwab bechne sar-e-bazar aa gae
dekha ki bazm-e-yar mein ghairon ki bhiD hai
chup-chap uTh ke hum pas-e-diwar aa gae
ek phul apne waqt se pahle mahak uTha
jaane kahan kahan se KHaridar aa gae
bas ek bar kucha-e-jaanan ka ruKH kiya
phir us ke baad KHud hi sar-e-dar aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.