teri nazar ke ishaaron ki baat kaun kare
terī nazar ke ishāroñ kī baat kaun kare
zamīñ pe rah ke sitāroñ kī baat kaun kare
hameñ haiñ raas thapeḌe hī tund maujoñ ke
udaas udaas kināroñ kī baat kaun kare
baḌhe na un se kahīñ aur dil kī vīrānī
ḳhizāñ ke din haiñ bahāroñ kī baat kaun kare
shu.ūr-e-fikr-o-nazar se hai ab jahāñ raushan
falak ke chāñd sitāroñ kī baat kaun kare
abhī haiñ un ke laboñ par masarrateñ raqsāñ
ġham-e-hayāt ke māroñ kī baat kaun kare
kise hai fursat-e-nazzārgī nasīb 'zakī'
kisī ke shoḳh nazāroñ kī baat kaun kare
teri nazar ke ishaaron ki baat kaun kare
zamin pe rah ke sitaron ki baat kaun kare
hamein hain ras thapeDe hi tund maujon ke
udas udas kinaron ki baat kaun kare
baDhe na un se kahin aur dil ki virani
KHizan ke din hain bahaaron ki baat kaun kare
shuur-e-fikr-o-nazar se hai ab jahan raushan
falak ke chand sitaron ki baat kaun kare
abhi hain un ke labon par masarraten raqsan
gham-e-hayat ke maron ki baat kaun kare
kise hai fursat-e-nazzargi nasib 'zaki'
kisi ke shoKH nazaron ki baat kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.