teri nazar mein aalam meri nazar mein tu hai
terī nazar meñ aalam merī nazar meñ tū hai
ik dil ke haath meñ ab ik dil kī aabrū hai
fitrat kā rañg le kar phirtī jo chār-sū hai
ik be-gunāh dil kī ma.asūm aarzū hai
pazhmurda gul chaman kā kaliyoñ se kah rahā hai
phūloñ kī ḳhush-numā.ī ik rāz-e-rañg-o-bū hai
jab had se baḌh ga.ī kuchh har had mirī ḳhushī kī
maiñ ne samajh liyā ki ab ḳhatm aarzū hai
hoñToñ ko ho na jumbish vo sab samajh rahe hoñ
ye shān-e-guftugū bhī ik shān-e-guftugū hai
mujh se suno junūñ aur bechārgī kā matlab
phūloñ kī chaah karnā kāñToñ kī aarzū hai
kaun hai jo be-qarār hai tere baġhair 'ashraf'
manzil ko dekh shāyad ab terī justujū hai
teri nazar mein aalam meri nazar mein tu hai
ek dil ke hath mein ab ek dil ki aabru hai
fitrat ka rang le kar phirti jo chaar-su hai
ek be-gunah dil ki masum aarzu hai
pazhmurda gul chaman ka kaliyon se kah raha hai
phulon ki KHush-numai ek raaz-e-rang-o-bu hai
jab had se baDh gai kuchh har had meri KHushi ki
main ne samajh liya ki ab KHatm aarzu hai
honTon ko ho na jumbish wo sab samajh rahe hon
ye shan-e-guftugu bhi ek shan-e-guftugu hai
mujh se suno junun aur bechaargi ka matlab
phulon ki chah karna kanTon ki aarzu hai
kaun hai jo be-qarar hai tere baghair 'ashraf'
manzil ko dekh shayad ab teri justuju hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.