teri nigah-e-naz se chhuTe hue daraKHt
terī nigāh-e-nāz se chhūTe hue daraḳht
mar jaa.eñ kyā kareñ batā sūkhe hue daraḳht
ik dūsre kī jaan ke pyāse hue haiñ ab
ik dūsre kī chhāñv se jalte hue daraḳht
baisākhiyāñ banā.ūñgā taḳhtī bhī naav bhī
zaa.e.a na jaane dūñgā maiñ TuuTe hue daraḳht
hairat hai peḌ niim ke dene lage haiñ aam
paglā ga.e haiñ aap ke chūme hue daraḳht
ab dhuup ke nagar meñ baḌe kaam ke haiñ vo
bekār kah ke ghar se nikāle hue daraḳht
raahī se baat karte haiñ insān kī tarah
kitne zahīn haiñ tire bo.e hue daraḳht
teri nigah-e-naz se chhuTe hue daraKHt
mar jaen kya karen bata sukhe hue daraKHt
ek dusre ki jaan ke pyase hue hain ab
ek dusre ki chhanw se jalte hue daraKHt
baisakhiyan banaunga taKHti bhi naw bhi
zaea na jaane dunga main TuTe hue daraKHt
hairat hai peD nim ke dene lage hain aam
pagla gae hain aap ke chume hue daraKHt
ab dhup ke nagar mein baDe kaam ke hain wo
bekar kah ke ghar se nikale hue daraKHt
rahi se baat karte hain insan ki tarah
kitne zahin hain tere boe hue daraKHt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.