teri qurbat mein rahun tera hawala ban jaun
terī qurbat meñ rahūñ terā havāla ban jā.ūñ
tū bane chāñd to maiñ chāñd kā haalā ban jā.ūñ
tū agar qurb se apne mujhe raushan kar de
maiñ bhī ik raushnī-e-‘ālam-e-bālā ban jā.ūñ
tū mire dil meñ rahe husn-e-tamannā ban kar
tū sanam ho mirā maiñ terā shivāla ban jā.ūñ
vasl aisā ho ki phir vasl kī ḳhvāhish na rahe
maiñ sarāpā shab-e-hijrāñ kā izāla ban jā.ūñ
tujh ko in āñkhoñ se dekhūñ to na dekhā jaa.e
de nazar aisī ki maiñ dekhne vaalā ban jā.ūñ
merī rātoñ ko bhī tū dard kī lazzat se navāz
ik kasak aisī ki maiñ jāgne vaalā ban jā.ūñ
liye phirtā huuñ maiñ dil meñ yahī armān 'azīm'
maiñ kisī dil ke añdhere kā ujālā ban jā.ūñ
teri qurbat mein rahun tera hawala ban jaun
tu bane chand to main chand ka haala ban jaun
tu agar qurb se apne mujhe raushan kar de
main bhi ek raushni-e-‘alam-e-baala ban jaun
tu mere dil mein rahe husn-e-tamanna ban kar
tu sanam ho mera main tera shiwala ban jaun
wasl aisa ho ki phir wasl ki KHwahish na rahe
main sarapa shab-e-hijran ka izala ban jaun
tujh ko in aankhon se dekhun to na dekha jae
de nazar aisi ki main dekhne wala ban jaun
meri raaton ko bhi tu dard ki lazzat se nawaz
ek kasak aisi ki main jagne wala ban jaun
liye phirta hun main dil mein yahi arman 'azim'
main kisi dil ke andhere ka ujala ban jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.