teri rah mein rakh kar apni sham ki aahaT
terī raah meñ rakh kar apnī shaam kī aahaT
dam-ba-ḳhud sī baiThī hai mere baam kī aahaT
haath kī lakīroñ se kis tarah nikālūñ maiñ
terī yaad ke mausam, tere naam kī aahaT
jab ye dil rifāqat kī kachchī niiñd se jaagā
har taraf sunā.ī dī iḳhtitām kī aahaT
raat ke utarte hī dil kī suunī galiyoñ meñ
jaag uThtī hai phir se tere naam kī aahaT
baiTh jaatī hai aa kar dar pe kyuuñ mire, 'nāhīd'
tere saath kī ḳhushbū, tere gaam kī aahaT
teri rah mein rakh kar apni sham ki aahaT
dam-ba-KHud si baiThi hai mere baam ki aahaT
hath ki lakiron se kis tarah nikalun main
teri yaad ke mausam, tere nam ki aahaT
jab ye dil rifaqat ki kachchi nind se jaga
har taraf sunai di iKHtitam ki aahaT
raat ke utarte hi dil ki suni galiyon mein
jag uThti hai phir se tere nam ki aahaT
baiTh jati hai aa kar dar pe kyun mire, 'nahid'
tere sath ki KHushbu, tere gam ki aahaT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.