teri rahon mein Dal kar Dere
terī rāhoñ meñ Daal kar Dere
tire raste meñ baiThnā hai mujhe
terī rāhoñ kī ḳhaak chhānñī hai
ḳhud ko miTTī meñ rau.dnā hai mujhe
vasl kī ab nahīñ koī sūrat
duur se roz dekhnā hai mujhe
tujh ko chhūne kī bhī nahīñ ḳhvāhish
tujh ko āñkhoñ se chūmnā hai mujhe
tujh ko sehn-e-haram meñ māñgā thā
tujh ko rekhā meñ DhūñDhnā hai mujhe
yaad aatī nahīñ tumheñ merī
tujh se ik baar pūchhnā hai mujhe
tujh ko fursat nahīñ hai sunñe kī
apnī ġhazloñ meñ bolnā hai mujhe
tere ḳhvāboñ meñ mast rahtī haiñ
apnī āñkhoñ ko nochnā hai mujhe
tere baare meñ soch haarī huuñ
apne baare bhī sochnā hai mujhe
ye safar kis qadar kaThin hai naañ
dā.eroñ meñ hī ghūmnā hai mujhe
teri rahon mein Dal kar Dere
tere raste mein baiThna hai mujhe
teri rahon ki KHak chhanni hai
KHud ko miTTi mein raudna hai mujhe
wasl ki ab nahin koi surat
dur se roz dekhna hai mujhe
tujh ko chhune ki bhi nahin KHwahish
tujh ko aankhon se chumna hai mujhe
tujh ko sehn-e-haram mein manga tha
tujh ko rekha mein DhunDhna hai mujhe
yaad aati nahin tumhein meri
tujh se ek bar puchhna hai mujhe
tujh ko fursat nahin hai sunne ki
apni ghazlon mein bolna hai mujhe
tere KHwabon mein mast rahti hain
apni aankhon ko nochna hai mujhe
tere bare mein soch haari hun
apne bare bhi sochna hai mujhe
ye safar kis qadar kaThin hai nan
daeron mein hi ghumna hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.